Kaisi hai ye udaasi chaayee… mere dil
Kaisi geheri hai ye tanhayee… mere dil
Raahon mein yaadon ki khaamoshi barse
Ankhon mein jo gum hai aasu ko tarse
Yeh bataa… yeh kyun hua
Bujh gaya… kyun har diya
Kaisi hai ye udaasi chaayee… mere dil
Jo bhi mila, woh kho gaya
Tujhko pataa hai aisa hi sada hota hai
Jaana hi tha woh jo gaya
Dil tu akela aise kyun bhala rota hai
Bhoole jo hain tujhko ab unko bhool ja tu bhi
Warna mere saath yaadon ke zakhm kha tu bhi
Maan ja… ae dil mere
Bhool ja… shikwe giley
Kaisi hai ye udaasi chaayee…
Tu hi bataa ae dil mere
Maine toh hamesha tera hi kaha… maana hai
Kyun hai mujhe ye gum ghere
Mujhe umra kya bas yehi sazaa paana hai
Sapne buye maine aur dard maine hai kaate
Gaaye geet maine aur paaye maine sannaate
Aarzoo… nakaam hai
Sooni si… har shaam hai
Kaisi hai ye udaasi chaayee… mere dil
Kaisi geheri hai ye tanhayee..
No comments:
Post a Comment